Saturday 13 August 2016

Qasida: Koi Baat Karo Younus - Dilbar Yaad Aaye Hain


Younus AlGohar's beautiful recitation of Urdu poetry written by him for his spiritual guide, the Awaited One Lord Ra Riaz Gohar Shahi.

Qasida:

Koi baat karo Younus, Dilbar(Gohar) yaad aaye hain
Siski hain fizayen aur, sanaatay chhaye hain

Aankhon ki talab dil ki dharkan hai mera dilbar
Nazron mein hai weerani gham dil ne basaye hain

Mehroom-e-Nazaara hon masroor-e-tamanna kar
Mere dil ne sada dilbar, naghmay tere gaye hain

Un ka hi tassawur hai, un ki hi tamanna hai
kuch deir sahi lekin, wo bazm mein aaye hain

Bhoolo gay jahan mujh ko, pao gay wahien Dilbar(Gohar)
Mere dil ki dewaron par tere hi saaye hain
Mere dil ke dareechon par tere hi saaye hain

Younus nahen goya hai, ik aah-e-dil-e-weeran
kuch ujray howay gulshan mere dil ne samaye hain

Aankhon ka taqaza hai dedar muassar ho
Jab dil ko sada tum ne khud jalway dikhaye hain

Aadat hai in aankhon ko, tera jalwa/mukhra taknay ki (ooo)
in piyasi nigahon mein aansoo bhar aaye hain

Barhta hi raha dilbar, in ghazlon mein soz-e-dil (ooo)
tere ishq mein jal kar harf ghazlon mein samaye hain

Tujhe dil ne pukara hai saanson ne bulaya hai
Uljhi howi dharkan hai, saans ukhray jaye hai

Kis dam mein nikal jaye, ye jaan bina tere
yehi khof mujhe la'haq, yehi waswasay aaye hain

Ab jalwa dikha dijiye, ab muaaf khata kijiye
Bujhti howi aankhon ka, ye muddua laye hain

Ab aankhen pareshan hain aur saans hai ukhri si
Kuch deir ko thehro to mere Gohar aaye hain

Kiya dil ko dilasa hai us harf-e-tamanna ka
Younus ki duaon se Gohar chalay aaye hain

No comments: